Aainey Jesi Ye Teri Aankhen
Aainey jesi ye teri aankhen,
Aaina hain ya hain teri aankhen,
Gor se dekh raha hoon inko,
Kyun hain ghabrayin si teri aankhen,
Sharm ka bhojh le na dube inhe,
Mujhse sharmaiyn hain teri aankhen,
Katra katra sharab lagtin hain,
Maqad e surahi si teri aankhen,
Hosh ka kyon ab khayal karey,
Ajab khumari si teri aankhen.
Added by: Bilal Khan
Aankhain Poetry
Gulaab Aankhen Sharab Aankhen
Gulaab Aankhen Sharab Aankhen
Yehi To Hain La-jawab Aankhen
Inhi Mein Ulfat Inhi Mein Nafrat
Sawab Aankhen, Azaab Aankhen
Kbhi Nazar Mein Bala Ki Shokhi
Kbhi Srapa Hijab Aankhen
Kbhi Chhupati Hain Raaz Dil K
Kbhi Hain Dil Ki Kitab Aankhen
Kisi Nay Dekhi To Jheel Jesi
Kisi Nay Payeen Sraab Aankhen
Wo Aaye To Log Mujh Sy Bolay
Hzoor Aankhen, Janab Aankhen
Added by: Bilal Khan
Aankhain Poetry
Saada Se Ik Chehray Per
Saada Se Ik Chehray Per
Kia Jadooger Si Aankhain Hain
Jo Daikhay Un Ka Ho Jaye
Jo Uteray Woh Thah Na Paaye
Kitnay Sapnay Jaag Rahay Hain
Un Palkoon K Saaye Saaye
Shama Sehar Si, Chara Ger Si,
Naama Ber Si Aankhain Hain
Anjaani Pehchani Bhi
Apni Aur Baigaani Bhi
Aik Hi Manzer Ka Hissa Hain
Aks Bhi Aur Hairaani Bhi
Sahil Jaisi Lagti Hain Aur Bhenwra Jaisi Aankhain Hain
Saada Se Aik Chehray Per Kia Jadooger Si Aankhain Hain
Added by: Bilal Khan
Aankhain Poetry
Ek Qayamat Si Hain Ye Tumhaari Aankhen
Tumhari aankhain
Ajeeb si kashish teri aankhon mai hai
Chaand si ek ravish teri aankhon mai hai
Jaane Konsi tapish teri aakhon mai hai
Ek qayamat si hain ye tumhaari aankhen
Ek ajab piyaar ka inme to josh hai
Har ada inki to jaise madhosh hai
Added by: Bilal
Aankhain Poetry
Galti na jaaney kaha se ho gye
Ghalti Hum Se NaJaaney Kahaan Ho Gayi..,,...
Ishq Ankhon Se Howa Aur Zindagi Hathon Se Gyi......!!!
Added by: nabeel
Aankhain Poetry
Ankh per pani
talkh etni thi kay peney se zuban jalti thi..
Zindgi aankh kay Pani Mein Mila li Mein ne..
Added by: nabeel
Aankhain Poetry
Khamosh hai rehti hai Aankhein
Yu toh khamosh hi rehti he aankhein
agar samajh sako to bahut kuch kehti hai aankhein
kaun kehta hai ki roti hai aankhein?
rota to dil hai magar kehti hai aankhein.
Added by: nabeel
Aankhain Poetry