Send Free SMS to Pakistan | PKSend.com

     Send free sms to pakistan at all the network freely. You can send free sms to pakistan at all networks which includes zong, warid, ufone, jazz, telenor.
Login Now or Register Now to start sending free SMS upto 420 characters.

Aankhain Poetry


Teri Aankhon Ki Tarhan


Teri Aankhon Ki Tarhan Gehra Tha,

Zakhm Bharne Mein Bohat Deir Lagi


Added by: nabeel     Aankhain Poetry



Sms Karenge Hum Ek Duje Ko Bari Bari

Sms karenge hum ek duje ko bari bari,

hame lagti hai ye rasam bari pyari,
ye sms milte hi ek sms bhej dena,
kyunki hame bilkul pasand nahi udhari


Added by: Bilal Khan     Aankhain Poetry



Hamare Zakhmon Ki Waja Bhi Woh Hai

Hamare zakhmon ki waja bhi woh hai...

hamare zakhmon ki dawa bhi woh hai,
Woh namak zakhmon pay lagaye toh kya hua,
mohabbat karnay ki saza hi woh hai.....


Added by: Bilal Khan     Aankhain Poetry



Bari Asaani Se Dil Lagaye Jaate Hain


Bari asaani se dil lagaye jaate hain,

par badi mushkil se waade nibhaye jaate hain,
le jaati hai mohabbat un raaho par,
jaha diye nahi dil jalaye jaate hain


Added by: Bilal Khan     Aankhain Poetry



Kayi Raaz Aise Hote Hain

kayi raaz aise hote hain jo dikhaye nahi jaate,

kayi kisse aise hote hain jo sunaye nahi jaate,
kayi dil aise hote hain jo tode nahi jaate,
aur kuch aap jaise dost aise hote hain jo chore nahi jaate.


Added by: Bilal Khan     Aankhain Poetry



Jab Khuda Ne Tujhe Banaya Hoga

Jab khuda ne tujhe banaya hoga,

ek aadha jaam to usne bhi lagaya hoga..
 
Aise hi nashili nahi teri aankhen,
jaam ka kuch asar to tere mein bhi aaya hoga...


Added by: Bilal Khan     Aankhain Poetry



Har Terha K Jazbat Ka Aelaan Hain Ankhen

Har terha k jazbat ka aelaan hain ankhen

shabnam kabhi shola kabhi tufan hain ankhen
ankhen hi milati hain zamany main diloon ko
anjaan hain hum tum, ager anjaan hain ankhen
lab kuch b kahen is se hakikat nahi khulti
insaan k sach jhoot ki pehchan hain ankhen
ankhen na jhuken teri kisi ghair k agey
dunya main Meri Jan, bari cheeenz hain ankhen


Added by: Bilal Khan     Aankhain Poetry



Sumandar Mein Utarta Hoon

Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain

Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay
Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas Main Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko Yaad Aate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Main Saara Din Bahot Masroof Rehta Hoon Magar Junhi
Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain
Her Ek Muflis K Maathe Per Alum Ki Daastanen Hain
Koi Chehra Bhi Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaate Hain
Bare Logon K Oonche Badnuma Aur Sard Mahlon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Tere Kooche Se Ab Mera Ta’alluq Wajbi Sa Hay
Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay Mere Dil Per
Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain


Added by: Bilal Khan     Aankhain Poetry



sponsored links

Login Now



Forget Password?

Register Now for Free


SMS Category


Urdu Poetry


Event SMS


Quotations


Website Stats


SMS Send: 86,175
Users: 14,365
Contacts: 4,975
Groups: 154,198
User Online: 249

Login Now or Register Now to start sending free SMS upto 420 characters.